Paisa kaise kamaye,how to
Ghar baithe paise Kaise kamaye hindi me
Ghar baithe paise kaise kamaye – Ghar baithe kaam karke kya paise kamaye jaa sakte hai? Mera jawab hai haan bilkul kamaye jaa sakte hai. Lekin iske liye sahi tarika aur kuch time jarur lagta hai. Internet par aapne ghar baithe paise kamane ke kai tarike padhe honge. Par me jo tarika bataunga usse aap 100% asli paisa kama sakte hai. Starting me kuch samay jarur lagega, lekin ek baar success ho jane ke baad aap asani se roj kam se kam 500/Rs kama sakte hai. Is tarike se maine bhi ghar baithe kamaye hai aur aap bhi kama sakte hai. Mere liye ye tarika ghar baithe job ki tarah hai.
Is kaam me naa to aapko koi member banana hai aur naa hi koi paise jama karna hai. Yeh bilkul asli kaam hai aur ye ek online money making site hai. Ye ek tarah se ghar baithe part time job hai. Aayiye jante hai ki ghar baithe paise kaise kamaye aur iske liye hume kya kya chahiye?
Computer ya Laptop
High speed Interne
English knowledge ki jarurat isliye he kyuki yeh kaam puri tarah english language me hota hai. Agar aap thoda bahut english bhi jante hai to dhire dhire sabkuch sikh jayenge. Ab jante hai Crowdflower site ke baare me jo ki ghar baithe kaam kaam karne ke real paise deti hai.
CrowdFlower kya hai?
Crowdflower site apne workers (contributor) ko chote chote kaam provide karti hai jise hume solve karke submit karna hota hai. Har kaam ke alag alag paise milte hai. Cowflower me kai prakar ke kam milte hai jaise sentiment analysis, ad judgement, social sites collection, data entry job etc. Is tarah ke kaam ko task kaha jata hai. Aage hum is baare me puri detail se janenge ki ghar baithe paise kaise kamaye?
Sign up kare
ghar baithe paise kaise kamaye
Sabse pehle crowdflower ki official site open kare.
Apna full name enter kare
Username enter kare
E-mail enter kare aur confirm kare
Password daale aur confirm kare
Apna paypal email enter kare
Captcha enter kare aur submit kar de
ye pahde – Paypal account kaise banaye?
Task kya hai
Crowdflower apne clients ke data ko chote chote hisso me baant deta hai. Har hissa ek question ban jata hai aur 5 ya 10 question milkar ek task bana lete hai. Fir task question ko contributor solve karte hai aur crowdflower ko correct data mil jata hai. Is tarah crowdflower task se clients ko data mil jata hai aur contributor ko ghar baithe paisa. Ghar baithe paise kaise kamaye.
ghar baithe kaam
Sign-up pura hone ke baad “Tasks” button par click kare aur fir “Open task listing in a new window” button par. Ek naya tab open hoga jo aisa dikhai
ghar baithe kaam kare
Jaisa ki aap upar image me dekh sakte hai yahan sabse pehle job id hai, uske baad Job title. Fir Level, Task pay aur total kitne task available hai.
Ab sabse important point ye hai ki starting me new members ko “Zero” level ke task complete karna padte hai. Zero level ke task complete karne ke baad hi hamara level badhta hai.
Upar ki image me yellow circle ke andar jo task hai wo bina level ka hai matlab sabse pehle yahi task new member ko karna padte hai. Yellow circle wale task me koi level nahi hai yani ye zero level ka hai.
Task kaise complete kare
crowdflower task kaise kare
Kisi bhi task ko open karne par sabse pehle “Quiz mode” aata hai. Is quiz mode ko pass karne ke liye 10 me se 6 test question correct hona chahiye tabhi hum working mode me aa sakte hai. Task open karne ke baad “Instruction” padhne par hume pata chal jata hai ki task koun sa hai aur ise complete kaise karna hai? Agar instruction samajh me naa aaye to task naa kare aur “Give up” kar de. Ek baar instruction think se samjhe aur agar aapko lagta hai ki aap ye task kar sakte hai to answer select kare aur last me submit kar de.
Ek baar quiz mode submit karne par agar aapke 10 me se 6 ya usse adhik answer correct hue to aap working mode me aa jayenge. Working mode me bhi same Quiz mode ki tarah 10 test quetion honge lekin working mode me task ke paise milne lagenge. Jitne jyada task aap working mode me complete karenge utna hi amount aapke account me add ho jayega.
Agar Quiz mode me aapke 10 me se 5 question hi correct hue to aap is task ke liye fail ho jayenge aur working mode me nahi aayega. Isliye instruction thik se samjhe aur agar instruction samajh me nahi aa raha to dusra task kare. Bina instruction samjhe task kabhi bhi submit naa kare. Agar aisa kiya to baad me aapko mushkil hogi
YouTube se paise kaise kamaye
Level complete kaise kare
ghar baithe kaam karke paise kamaye
Jab bhi aap koi task karenge to aapke task ke test question dashboard me count honge. Maine yahan apna dashboad screen shot lagaya hai jisme aap dekh sakte hai ki mera accuaracy rate 91.7% hai. New workers ko level 1 cross karne ke liye kuch requirement complete karni padti hai.
Zero level ke 5 task complete karna.
100 test question ke answer.
Accuracy rate 70% se upar hona chahiye.
Upar diye gaye point pure kar lene ke baad aap level 1 cross kar payenge. Ek baar level 1 cross karne ke baad aap ghar baithe kaam karke paise kamana start kar sakenge. Level 2 cross karne ke liye aapka accuracy rate 80% aur level 3 cross karne ke liye accuracy rate 90% hona chahiye.
Accuracy rate
Accuracy rate aapko level 3 ke task karne ki ijajat deta hai. Isliye sabse khas baat ka dhyan rakhe ki agar aapko task instruction samajh me nahi aa raha hai to wo task naa kare. Aap us task ko chorkar dusra task kar sakte hai.
Ab accuracy rate ko samajhte hai. Aapka over all accuracy rate dashboard par dikhai deta hai. jab bhi hum koi new task karte hai to sabse pehle Quiz mode aat aata hai. Maan lo quiz mode me 10 test question hai aur hamare 9 answer correct hai to hamara accuracy rate hoga 90%. Agar 10 me se 8 answer correct hai to to accuracy hoga 80%.
Har quiz mode me sabhi question test question hote hai. Jabki quiz mode ke baad working mode me koi bhi ek question test question hota hai jo hume pata nahi hota. Yadi working mode me hamara test question wrong ho jata hai to accuracy bhi kam ho jati hai.
Payment proof
crowdflower payment proof hindi me
Ye mera ek week ka payment hai jo crowdflower ne mere paypal email par send kiya tha. Crowdflower se har week cashout kiya jaa sakta hai. Is image me $80 dolloar ka payment hai jo ki lagbag 5000/Rs ke barabar hote hai. Jab bhi aapke account me $10 ho jayenge aap cashout kar sakte hai.
Is post me maine sab kuch likhne ki koshis ki hai. Lekin fir bhi aapko kahin bhi koi problem aaye to aap mujhse comment me apna sawal puch sakte hai. Starting me aapko bhi samajhne me thodi dikkat aayegi. Kuch dino tak koshis karne ke baad aapko crowdflower se paise kamane me koi problem nahi aayegi. Crowdflower se aap daily 500/Rs se bhi jyada ghar baithe asani se kama sakte hai
YE POST COPY KIYA HUA HAI
जवाब देंहटाएंAAPKO GIRFTAAR KIYA JATA HAI
AAPKA LOCATION TRACK KAR LIYA GAYA HAI
YE KAISEBHI.IN SE COPY KIYA HUA HAI